Maa Durga Chalisa Lyrics: Embark on a spiritual journey with us as we explore Durga Chalisa – a special prayer for Goddess Durga. She is a super-strong mom in Hindu culture. This prayer, with 40 verses, talks about her greatness and asks for her blessings.Reciting this Chalisa on Fridays can help with things like feeling better about yourself and even doing better with money. Let’s dive into the magic of Durga Chalisa.
Here is the Full Maa Durga Chalisa Lyrics:
॥ Chaupai ॥
Namo namo Durge sukh karani ।
Namo namo Ambe dukh harani ॥ 1 ॥
Nirankar hai jyoti tumhari
Tihun lok pheli ujayari ॥ 2 ॥
Shashi lalat mukh maha vishala ।
Netra lal brikuti vikrala ॥ 3 ॥
Roop matu ko adhika suhave ।
Daras karat jan ati sukh pave ॥ 4 ॥
Tum sansar shakti laya kina ।
Palan hetu anna dhan dina ॥ 5 ॥
Annapurna hui jag pala ।
Tumhi adi sundari bala ॥ 6 ॥
Pralaya kal sab nashan hari ।
Tum Gauri Shiv Shankar pyari ॥ 7 ॥
Shiv yogi tumhare gun gave ।
Brahma Vishnu tumhe nit dhyaven ॥ 8 ॥
Roop Saraswati ko tum dhara ।
De subudhi rishi munin ubara ॥ 9 ॥
Dharyo roop Narsimha ko Amba ।
Pragat bhayin phar kar kamba ॥ 10 ॥
Raksha kari Prahalad bachayo ।
Hiranakush ko swarg pathayo ॥ 11 ॥
Lakshmii roop dharo jag mahi ।
Shree Narayan ang samahi ॥ 12 ॥
Ksheree Sindhu karat vilasa ।
Daya Sindhu deejay man aasa ॥ 13 ॥
Hingalaj mein tumhi Bhavani ।
Mahima amit na jaat bakhani ॥ 14 ॥
Matangi Dhoomavati Mata ।
Bhuvneshwari Bagala Sukhdata ॥ 15 ॥
Shree Bairav Tara jog tarani ।
Chin-na Bhala bhav dukh nivarani ॥ 16 ॥
Kehari Vahan soh Bhavani ।
Langur veer chalat agavani ॥ 17 ॥
Kar men khappar khadag viraje ।
Jako dekh kal dar bhaje ॥ 18 ॥
Sohe astra aur trishoola ।
Jase uthata shatru hiya shoola ॥ 19 ॥
Nagarkot mein tumhi virajat ।
Tihun lok mein danka bajat ॥ 20 ॥
Shumbhu Nishumbhu Danuja tum mare ।
Rakta-beeja shankhan samhare ॥ 21 ॥
Mahishasur nripa ati abhimani ।
Jehi agha bhar mahi akulani ॥ 22 ॥
Roop kaaral Kalika dhara ।
Sen sahita tum tin samhara ॥ 23 ॥
Pari garha santan par jab jab ।
Bhayi sahaya Matu tum tab tab ॥ 24 ॥
Amarpuri aru basava loka ।
Tava mahima sab rahen asoka ॥ 25 ॥
Jwala mein hai jyoti tumhari ।
Tumhen sada pujan nar nari ॥ 26 ॥
Prem bhakti se jo yash gaye ।
Dukh-daridra nikat nahin ave ॥ 27 ॥
Dhyave tumhen jo nar man laee ।
Janam-maran tako chuti jaee ॥ 28 ॥
Jogi sur-muni kahat pukari ।
Jog na ho bin shakti tumhari ॥ 29 ॥
Shankar Aacharaj tap keenhon ।
Kam krodh jeet sab leenhon ॥ 30 ॥
Nisidhin dhyan dharo Shanker ko ।
Kahu kal nahin sumiron tum ko ॥ 31 ॥
Shakti roop ko maram na payo ।
Shakti gayi tab man pachitayo ॥ 32 ॥
Sharnagat hui keerti bakhani ।
Jai jai jai Jagdamb Bhavani ॥ 33 ॥
Bhayi prasanna Aadi Jagdamba ।
Dayi shakti nahin keen vilamba ॥ 34 ॥
Mokun Matu kashta ati ghero ।
Tum bin kaun hare dukh mero ॥ 35 ॥
Asha trishna nipat sataven ।
Moh madadik sab binsaven ॥ 36 ॥
Shatru nash keeje Maharani ।
Sumiron ekachita tumhen Bhavani ॥ 37 ॥
Karo kripa hey Matu dayala ।
Riddhi-Siddhi de karahu nihala ॥ 38 ॥
Jab lagi jiyoon daya phal paoon ।
Tumro yash mein sada sunaoon ॥ 39 ॥
Durga chalisa jo gaye ।
Sab sukh bhog parampad pave ॥ 40 ॥
॥ Doha ॥
Devidas sharan nij jani ।
Karahu kripa Jagdamb Bhavani ॥
Keep watching our YouTube Channel ‘DNP INDIA’. Also, please subscribe and follow us on FACEBOOK, INSTAGRAM, and TWITTER.